Paya Tumko To Hum Ko Laga Tumko Kho DiyaPaya tumko to hum ko laga tumko kho diyaHum dil pe roye aur yeh dil hum pe ro diyaKyon is ke fansle humein manzoor ho gayeKitne hue kareeb ki hum door ho gaye
Yeh Hadasa To Kisi DinYeh hadasa to kisi diYeh hadasa to kisi din guzarne wala thaMain bach bhi jata to ik roz marne wala thaTere salook teri aagahi kee umr darazMere aziz mera zakham bharne wala thaBulandiyon ka nasha toot kar bikharne lagaMera jahaz zameen par utarne wala thaMera naseeb mere haath kaat gaye varnaMain teri maang mein sindoor bharne wala thaMere chirag meri shab meri munderein hainMain kab shareer hawaon se darne wala tha
Dar Ke Kisi SeDar ke kisi sDar ke kisi se chup jataa hai jaise saanp khazane meinZar ke zor se zinda hain sab khaak ke is veerane meinJaise rasam ada karte ho sheharon kee aabadi meinSubah ko ghar se door nikalkar shaam ko wapis aane meinNeele rang mein doobi aankhein khuli padi thi sabze parAks pada tha aasman ka shayad iss paimane meinDil kuch aur bhi sard hua hai shaam-e-shehar kee raunak meinKitni ziya besood gayi sheeshe ke lafz jalane meinMain to 'munir' aaine mein khud ko tak kar hairan huaYe chehra kuch aur tarah tha pehle ek zamane mein
Ye Dil Mein Vasvasa Kya Pal Raha HaiYe dil mein vasvasa kya pal raha haiTera milna bhi mujh ko khal raha haiJise maine kiya tha be-khudi meinJabeen par ab vo sajda jal raha haiMujhe mat do mubarak-baad-e-hastiKisi ka hai ye saya chal raha haiSar-e-sahara sada dil ke shajar seBarasta door ik badal raha haiFasad-e-lagzish-e-takhleeq-e-aadamAbhi tak haath yazdaan mal raha haiDilon kee aag kya kafi nahi haiJahanum be-zaroorat jal raha hai
Nikalna Khuld Say Aadam Ka Sunte Aaye Hain LakinNikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakinBohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklayTranslationKhuld say aadam = birth of man, from the womKochay = dooBayabroo = shamelessl
Tannha Rehna To Seekh Liya HumneTannha rehna to seekh liya humnePar khush na kabhi reh payengeTeri doori to phir bhi seh leta hai ye dilPar teri mohabbat ke bin na jee payenge